Tuesday, January 11, 2011

Duniya Facebook ki...!!

Aao yaaron aaj tumhe,
      ek baat gehri bataata hu..
apni iss poem k zariye,
      Facebook ki duniya dikhata hu...!!

Mark Zuckerberg ne apne dimaag se,
      diya duniya ko kuchh anokhha hai..
kuchh kehte hain isey pyara-pyara,
      to kuchh kehte hain ye dhhokha hai...!!

reh gayi peechhe hazaaro websites,
      kaanp utha kayi ka rrom-rrom..
jab se shuru hua Internet par,
      Zuckerberg ka "facebook.com"...!!

Social networking k naam par,
      ye tufaan jab se aaya hai..
bacche, boozurg aur jawaan,
      har kisi par isska saaya hai...!!

jaate-jaate ek aadmi bola,
      beta, mere kheto ko yaad rakhna..
Neighbor ho tum bhi, mere Farmville me,
      mere farm ko zaraa aabaad rakhna...!!!

Friend requests sabko bhej-bhej kar,
      har koi apni friend-list badaata hai..
Accept ho jaaye to khushi hoti hai,
      aur na ho toh gussa aataa hai...!!!

Update karte hi apna status,
      har friend koi na koi comment keh gaya..
na khuley aggar facebook ek dinn bhi,
      to lagta hai ki kuchh adhhoora reh gaya...!!!

ab to bass yahi duaa hai yaaron,
      ki facebook ke zariye hum miley rahein..
dekh-kar apne puraane PICS,
      hum sabke DIL khiley rahein...!!!


                              -- A. Prakash

No comments:

Post a Comment

क़ैद

  ... क़ैद ... सन्नाटा   पसरा   है   हर   जगह ,      एक   डर   का   माहौल   सा   छाया   है   । भले   क़ैद   हूँ   मैं   आज   यहाँ ,      पर ...